Mann ki Anubhuti***********************************
Jeevan ke is madhuban main,
Na jane kab aa jaye basant
Mann main kisi ke chanchanlata
Na jane kab ur (harday) ko kar de durbal
Ravi ki jwala ko bhi
Chandra sa kar de sheetal
Jeevan ke is madhuban main,
Na jane kab …………..dradh nischaye prastar hradya ko
Pal main kar de komal
Uski vani ke ek ek shabd
Kar jate mann ko prasann
Harpal harchan soch ke baate
Pulkit kar deta hai mann
Jeevan ke is madhuban main,
Na jane kab …………..Par mann ki ye anubhuti
Hai ek margmarichika si
Jo kar rahi mann ko chanchal
Digbharmit kar kar rahi pratipal
Par tumahre har shabdo se
Chadnra si sundar sheetalta se
Harday ki us komalta se
Aur mann ki us chanchanlta se
Bhar lege jeevan main
Asha ki ek naye kiran -2
Jeevan ke is madhuban main,
Na jane kab …………..
Jeevan ke is madhuban main,
Na jane kab aa jaye basant
Mann main kisi ke chanchanlata
Na jane kab ur (harday) ko kar de durbal
Ravi ki jwala ko bhi
Chandra sa kar de sheetal
Jeevan ke is madhuban main,
Na jane kab …………..dradh nischaye prastar hradya ko
Pal main kar de komal
Uski vani ke ek ek shabd
Kar jate mann ko prasann
Harpal harchan soch ke baate
Pulkit kar deta hai mann
Jeevan ke is madhuban main,
Na jane kab …………..Par mann ki ye anubhuti
Hai ek margmarichika si
Jo kar rahi mann ko chanchal
Digbharmit kar kar rahi pratipal
Par tumahre har shabdo se
Chadnra si sundar sheetalta se
Harday ki us komalta se
Aur mann ki us chanchanlta se
Bhar lege jeevan main
Asha ki ek naye kiran -2
Jeevan ke is madhuban main,
Na jane kab …………..
No comments:
Post a Comment